Are you looking for Hadees images in roman English? We have shared a beautiful collection of Hadith images in roman English. High-quality images with hadees ki baatein in Urdu Hindi. You can easily download 40 hadith images for sharing with friends on social media.
15 Hadees Images In Roman English
1. Nabi Kareem Sallallahu Alahi Wasalam nr farmaya: Jab Imama (Surah Fatiha ki akhari ayat) kahe to tum log Amin kaho, Kiunke jiska Amin Kehna Farishto ke Amin kahne ki muafik ho jae ga iskae sabikah tamam gunah baksh diye jaen ge.
2. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya teen Aadmi aise hain jinki Aankhein Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dekhegi.
1. Wo aankh jo Allah ke darr se roye
2. Wo aankh jisne Allah ke raaste mein pahra diya
3. Wo aankh jisne Allah ki Haram ki huyee Cheezon ko nahi dekha
As-Silsila As-Sahiha 1477
3. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis nafs ko bhi is haal mein maut aaye ki wo is baat ki gawahi deta ho ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur main (Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ka Rasool hu aur ye gawahi dil ke yakeen se ho to Allah subhanahu uski maghfirat farma denga.
Sunan ibn Majah, Jild 1, 677-Hasan
4. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne sirf Allah Subhanahu ke liye kisi yateem ke sir pe haath phera to is ka haath jitne balon par se guzarega, is ko utney balon ke barabar neikiyan milengi
Musnad Ahmed 9068-Sahih
5. RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhnahu ke kuch bande aise hain jinko Allah Subhanahu bando ko fayda dene ke liye naimaton se nawazta hai , agar wo kharch karte hain unke liye liye barqarar rakhta hai aur jab wo rok lete hain to Allah Sunhanahu unse (wo naimatein) cheen leta hai aur duson ko ata kar deta hai.
Al-Silsila As-Sahiha-1342
6. Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya main tumehin wo baat na batau jo darje mein roze namaz aur sadqa se afzal hai logo ne kaha ji haan, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya aapas mein sulah karwa dena.
سنن ابو داوود ٤٩١٩- صحیح
7. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo kisi momeen mard aur aurat ke liye Allah subhanahu se maghfirat mangega to uske liye haar momeen mard aur aurat ke badle ek Neiki likhi jaegi.
At-Tabaraani-2118-Musnad Al-Shamiiyin-Hasan
14. Musalman wo hae jisne apni zuban aur hathon se dusre musalman ko mahfuz rakha. (Bukhari)
15. Hasad sirf 2 baton me jaiz hai. Aik is shakhs k bhary me jisy Allah ne dolut di ho or wo is dolut ko rah e huq per kharch kerny per b qudrat rakhta ho. aor aik is shakhs k bhary me jisy Allah ne (hikmat ki dolat) se nwaza ho or wo iskay zrye se faisla kerta ho or logon ko is hikmat ki taleem daita ho
Post a Comment
Post a Comment